swapna adhoore the kitne mere man ke veeraane me,tod gaye sheeshe se naazuk , aap jinhe anjaane se.
roz sajaayi thaal sajeeli pooja ko teri priyatam,
roz chadhaaye ashru sinchit phool tumhaari moorat ko,
roz aarti ki , jhoomi , naachii , tumhaare dwaare main;
fir bhi aise roothe ke tum maane nahi manaane se.
bhari jeth me laga, nadi hokar mil jaaun,
saagar main ho jaaun, alag naa ho paaun milkar tum me.
sharat ritu men phool khile kaante de kar teekhe,chubhte,
hui vikal jab saawan aaya der hui fir aane me.
chanhu disaa dekhi priyatam tere darshan ko taras gayi,
baat johti rahi tumhaari pathraayi aankhon se animish,
aur bhulaa baithi sab,ye sansaar tumhaare bin kya hai,
koi sahaara aur nahi,darr lagta hai kho jaane se.
bole pihuu papeeha jab bhaaye preetam naa man mere,
hook utthi jaati hai dil me , jab bairee koyal kooke,
ab is duniya kaa saara sangeet shor sa lagta hai,
de jaao ek lalnaa gaa lun lori jise sulaane main.