Sunday, July 19, 2009

Meri Ibtedaai Ghazal

Dil men basne waalon ne jab dil ka sheesha tod diya,
Humne dil ki deewaaron par tasweer sajaana chhod diya.

Hum ulatey behte dariya men kyun tair rahe the na jaane,
Jab humko yeh ehsaas hua tab dariyaa ka rukh mod diya.

Aati hai bahaarein aayengi,kuch phool khilenge aangan men,
Yeh baat alag hai pannon men phoolon ko dabaana chhod diya.

Ab aur koi gham kya dega ,jab logon ko pehchaan gaye,
Patthar hun ab takraao naa,phir naa kehna dil tod diya.

Ek huur ki chaahat thi mujhko,usne aisa dil toda tha,
Woh zakhm abhi tak ristaa hai,ab haal sunaana chhod diya.

Madhosh nahi rehna hai mujhe,ab hosh men hi rehnaa hai mujhe,
Peekar saara hi maikhaana,apna paimaana tod diya.

No comments:

Post a Comment