Sunday, July 19, 2009

Sabhi chaahne waalon ko mera salaam.

Waise to log kitaabon me , juraabon me,
khaali se lihaafon me umra basar kar dete hain...
Main inse thoda alag jeetaa hun,kitaaben padhta to hun,par unhe zindagi se jod kar samajhtaa bhi hun.
Jo sochtaa hun unhe misro me,lafzon me,ahsaason me bayaan kar deta hun...
jo dil me aata hai wahi karta hun,jo hota hun wahi dikhtaa hun...
Yeh mera blog meri kalam ki nazar hai, jo meri ruhaani kashmokash ki saathi hai...
to bas aap padhte rahe , comment karte rahe...
Zindagi ko meri nazar se dekhte aur apne tazurbe se mujhe samajhaate rahein.

No comments:

Post a Comment