Zindagi kuch to bata kya tujhse hai mera waastaa,
Tuu hai manzil aakhiri yaa koi aglaa raastaa.
Saakiyaa uljhan hai paimaane-o-mere darmiyaan,
Main ise peeta raha ya woh mujhe peeta rahaa.
Yun ki meri zeest-e-tanhaai ka saani nahi,
Chaand ke bhi saath tha taaron ka ujlaa karawaan.
Naa abhi chhedo mere taaron ko khaamoshi rahe,
Saaz-e-gham men chhupaa toofaan hai ik soya huaa.
Main abhi gujare palo ko bhar ke jee to dekh lun,
Fir zahaan waalo sunaa doongaa main apni daastaan.
No comments:
Post a Comment