Sunday, July 19, 2009

Fir Se Tootaa Bharam

Fir se toota bharam woh aankh se ojhal ho gaya,
Muntazir fir kisi sheeshe ka mera dil ho gaya.

Har ek zakhm pe fir usne chalaaye nashtar,
Kabhi khudaa tha mera jo wahi kaatil ho gaya.

Mere saaye se bhi jal uthtey hain suukhe hue phool,
Pair dariya men utaare to woh saahil ho gaya.

Ab to chhup rehte hain,bolein bhi to kis se bolein,
Bayaan-e-gham-e-dil lutf-e-mehfil ho gaya.

Ab uthe pair to kis raah chale kya maaloom,
Kisi manzil ka iraada meri manzil ho gaya.

Mere raqeeb tujhe bhi gham-e-ulfat na mile,
Kisi ko kya kisi harzaai se haasil ho gaya.

Ab kisi simt behalataa nahi dil-e-naasaaz,
Gham-e-ulfat bhi gham-e-zeest men shaamil ho gaya.

No comments:

Post a Comment