Yeh meri puraani Ghazal Diary ke pannon ki kabra se ...
Pesh-e-khidmat hai:-
Fir nazaaron men umad aaye hain baadal gham ke,
Meri taqdeer pe barsenge ashq mausam ke.
Aur aayenge chale saakiyaa gham ke maare,
Fir naa aayenge magar chaahne waale gham ke.
Kabhi utaroge agar dil men to paa jaaoge,
Isi sehraa men sametey hai ghuunt shabnam ke.
Mere yaaron mere zakhmon ki dawaa hai to yahi,
Waqt ki okhali se chaar boond marham ke.
Fir se jodo woh tuute taar saaz par dil ke,
Fir se gaayen chalo kuch aur geet maatam ke.
No comments:
Post a Comment